Friday, September 02, 2005

Ek Safar - Anant

Pag pag aage chalte hoon
Rukta hoon, sochta hoon
Aage chal to raha hoon main
Kya aage badhta bhi hoon?
Ya bas ek andhi daud mein
Hissa hoon ek anjaana
Na kuch pata hai raaste ka
Na khabar ki kahan hai jaana
Manzil jisko sab kehte hain
Kya meri talaash bhi wahin par rukti hai
Kya meri seemaayon ka daira itna hi hai
Kyon seemit kar diya hai maine
Apni un aakaankshaaon ko
Jinke sahare kabhi jeeta tha main
Jo mili thi mujhe saugat mein
Kya bhool gaya hoon apna lakshya
Ya bhatak gaya hoon path se
Ya himmat nahi hai mujhme
Jhelne ki un toofanon ko
Jo hain mere intezaar mein
Jinko kabhi samjha na maine
Layak kisi chinta ke
Aaj khade hain saamne
Dharan kiye ek roop vishaal
Kya uthna hai mera mumkin
Ya hausle se hoon kangaal
Thake hue kadmon mein
Itni bachi hai jaan
Ki le chale mujhe us paar
Jahaan se shuru hota hai mera safar
Anant, anant, anant

1 Comments:

At 10:11 am GMT-8 , Anonymous Anonymous said...

Awesome Poem ---

Kavi nahi hu shayad phir hain sabd mere unginat tammanaoo ka roop liye ----

 

Post a Comment

Subscribe to Post Comments [Atom]

<< Home