Wednesday, August 31, 2005

Jaane Kyon...

Dooriyaan jab dilon ke darmiyan hone lagein kam
Kyon panapne lagte hain ankahe gham
Ek noor, jiski asha karta tha dil har dum
Kyon hain khoya hua, ashru se kyon hain aankhein nam
Kyon mere lafzon ka marm ho jaata hai gum
Agar samajhta tha ahmiyat koi mere shabdon ki
Aur deta tha unhe jeevan to woh thi tum
Hoke beqadr, jo main chala karke tumhe gumsum
Seene mein basa ho jaise dard ka nagar
Palkon se behta hai pal pal ik saagar
Manzil ki talaash mein ghoom raha hoon dar badar
Na hoon anjaan, na hi bekhabar
Ki manzil meri kahin hai agar
To sirf aur sirf teri dagar
Taraste hain kadam chalne ko us raah par
Jahaan shayad takti hogi meri raah teri nazar
Par na jaane kyon, chal hi pada hoon jab akela
Ek raste par, jahan na humsafar na koi mela
Jahan na hai ummeedon ka saawan
Na shayad mile khushiyon ki bela
Mehsoos hota hai ek ajab sa sukoon
Masroof tha jinke sajde mein, jaane kyon
Chhoot gaye peechhe chahat ke sab junoon
Tanha jo chala tha, tanha hi khada hoon

2 Comments:

At 12:54 pm GMT-7 , Anonymous Anonymous said...

kya tu ne yeh usko padhaya???????

 
At 12:54 pm GMT-7 , Anonymous Anonymous said...

haan haan usi ko

 

Post a Comment

Subscribe to Post Comments [Atom]

<< Home