A Tribute
These are some extremely beautiful lines by a very dear friend of mine, Shefali! I would like to dedicate this post to her and her penchant for penning down such exotic thoughts. I am really happy she allowed me to post this on my blog. Adds up to the zing! Cheers to her.
Kaafile ki talaash me har baar chot khayee hai,
Is zindagi ne raaz ki baat yeh sikhai hai.
Jo jeevan bhar saath de woh saugat kisne paayi hai?
Meri raah ke humsafar ka naam hi tanhai hai.
Jo thaam le yeh zindagi, aisa koi bandhan kahan,
Saahil ki ret par likhe ik anjaan naam ki tarah
Lehren guzarte waqt ki, mita deti hain har nishan.
**************************
Dil jo karta hai tamanna
Mil jaaye kaash mujhe.
Beech saagar mein hoon khadi,
Hai kinare ki talaash mujhe.
Duniya hogi roshan
Zindagi mein bhi koi baat hogi,
Jis din meri apnee
Pehchaan se mulaquat hogi,
Usse pehle na koi din chehkega mera,
Aur na hi koi shaam roshni se aabad hogi.
**************************
Bheed ke is saagar mein kho jaaye hum to kya,
Waqt ki yeh lehrein mita de mera har nishaan,
Par goonj mere lafzon ki teri rooh ko chhookar tujhe meri yaad dilati rahegi
Han meri koi parchhai tere saamne se guzar ke har pal tujhpe yeh jatati rahegi,
Ki duniya mein kahin hai koi shakhs aisa,
Jiski rab se sada rehti hai yeh dua,
Tu jahan bhi rahe salaamat rahe,
Khushyion se bhara ho tera har jahan.
**************************
Zameen aasmaan ke darmiyan jo doori,
Tamanna haqeeqat mein wahi faasla hai.
Nikal to pade ho Karne hasraton ko poora,
Kya kshitij paar karne ka tumme hausla hai?
Saamne khada kathinaiyon ka parvat,
Aur peechhe guzare gamon ka silsila hai.
Na ab saath tere koi humsafar hai,
Na ab sang tere koi kafila hai.
Nikal to pade ho karne hasraton ko poora,
Kya kshitij paar karne ka tumme hausla hai?
Zameen aasmaan ke darmiyan jo doori,
Haan! tamanna haqeeqat mein wahi faasla hai.
Par nikal jo pada hoonn karne hasraton ko poora,
To kshitij paar karne ka bhi mujhme hausla hai.
Kathinayion ka ab mujhe koi darr nahi hai,
Drid nischay ke aage har parvat hila hai.
Nahi hai mujhe karvan ki zaroorat
Na hi in tanha raahon ka gila hai.
Haan! apne astitva ka talaashne ki mujhme uthi hai khwahish,
Aur dhoondne se bande khuda bhi mila hai.
Nikal hi pada hoon karne hasraton ko poora to
Kshitij paar karne ka bhi mujhme hausla hai.
Haan! mujhme hausla hai!
4 Comments:
Egypt's Bloggers Aid Dissent
With unkempt black locks and a laptop tucked under his arm, Alaa Fattah has a voice that carries further than those of other antigovernment activists.
My Acne Treatment site, covers Acne Treatment related stuff.
Egypt's Bloggers Aid Dissent
With unkempt black locks and a laptop tucked under his arm, Alaa Fattah has a voice that carries further than those of other antigovernment activists.
Hey, you have a great blog here! I'm definitely going to bookmark you!
I have a horse racing system site. It pretty much covers horse racing system related stuff.
Come and check it out if you get time :-)
Open Letter to young Ryland Kallman
A few months ago Sarah Gilbert told us about Isabel Kallman and the Alpha Mom network.
Hi, you have a very interesting blog. I have a web site that is related to forex trading strategy and forex currency trading. If you would like to know more about making money trading the forex or mini forex, visit forex trading strategy for some interesting articles and tips.
hey
it is not fair...i need translation.....just kidding
looking forward for more posts...in english
Prakash
Post a Comment
Subscribe to Post Comments [Atom]
<< Home