Akela
Kyon har lamha sochta tha tujhe
Kyon teri yaad mere khayaalon ko sehlaati thi
Kyon raat ke andhere mein bhi
Ek roshan chehre se sada koi aati thi
Ek pal mere sara jeevan
Aankhon mein utar aata tha
Aur un chanchal nainon mein
Koi apna chehra dhoond nahi paata tha
Ek kiran thi asha ki
Ek tinke sa bharosa
Jiske sahare hua tha yeh aitbaar
Jis kaaran se na maine khud ko roka
Par meri bhool hi thi shaayad
Ya shaayad khaya tha maine dhokha
Akasmaat hi jo thokar lagi
Yaad aaya woh pal jab kisi ne tha mujhe toka
Na chahat hui sambhalne ki
Na uthne ka tha hausla
Ek toote dil ke tukde liye
Main chalta chala akela
Kyon teri yaad mere khayaalon ko sehlaati thi
Kyon raat ke andhere mein bhi
Ek roshan chehre se sada koi aati thi
Ek pal mere sara jeevan
Aankhon mein utar aata tha
Aur un chanchal nainon mein
Koi apna chehra dhoond nahi paata tha
Ek kiran thi asha ki
Ek tinke sa bharosa
Jiske sahare hua tha yeh aitbaar
Jis kaaran se na maine khud ko roka
Par meri bhool hi thi shaayad
Ya shaayad khaya tha maine dhokha
Akasmaat hi jo thokar lagi
Yaad aaya woh pal jab kisi ne tha mujhe toka
Na chahat hui sambhalne ki
Na uthne ka tha hausla
Ek toote dil ke tukde liye
Main chalta chala akela
0 Comments:
Post a Comment
Subscribe to Post Comments [Atom]
<< Home